MOST TOUCHING LINES BY A BOY WHOSE LOVE MARRYING TO SOMEONE ELSE:-
Aaj dulhan k lal jode me use uski sakhiyon ne sajaya hoga..
Meri jaan k gore hatho ko mehndi se rachaya hoga...
Bahut gehra chada hoga mehndi ka rang , us mehndi me usne mera naam bhi chupaya hoga...
Reh reh k ro padi hogi wo jab jab usko khyal mera aaya hoga...
Khud ko dekha hoga usne jab aaine me to aks mera b najar aaya hoga..
Lag rahi hogi bahut hi sundar wo,aaj dekhkar usko chand bhi sharmaya hoga....
Aaj meri jaan ne apne maa-baap ki izzat ko bachaya hoga....
Usne beti hone ka har farz nibhaya hoga.....
Majboor hogi sabse zyada wo sochta hu kis tarah usne khud ko samjhaya hoga.....
Apne hatho se mere khato ko jalaya hoga...
Khud ko majbut banakar usne hamari yado ko mitaya hoga...
Bhukhi hogi wo janta hu usne mere bina kuch nahi khaya hoga...
Kaise sambhala hoga apne aap ko jab usne khud ko fero ki aag me jalaya hoga......
No comments:
Post a Comment